Thursday, February 6, 2014

small ones...

Aur kahan jayenge hum, gum bhi ruswayiyan bhi yahan
Fakat rohon ka fark hai ghalib, mera toh khuda yahan khudaiyan bhi yahan

Har aashiq ka yehi fasana hai, har chot pe bass muskarate jana hai...

Mere khuda tu mijh pe itna aitbaar na kar
Meri wafa, mere junoon ko darkinar na kar
Aisa na ho ki main khuda hi badal doon
Tu har pal mujh pe yun atyachaar na kar


Jee karta hai kuch bewakoofiyan kar jaye
Waqt rehte duniya se lad jayen
Hum ek baar ko fir bhi ruswaiyan mol le leen
Agar woh izhare muhabaat kar jayen

mere khuda maaf karna....

Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon
Bewafa jo apne mehboob ko bayan kar doon

Kya hua jo woh chor gaye rah main akela hamme
Kya sirf is binah pe main unhe na-khuda kar doon

Aur kya karenge bayan yeh nazare unko, unki zad ko unki kathnaiyon ko, Pata hai mujhe mera khuda hai woh
Aasman se aane walon ko kyun main ruswa kar doon

Lab jo khulte the ibadat main unke
Kabhi pyar main, kabhi ruswaiyon main
Janta hai khuda mera, niyat ko meri
Us pari ke kadamon main yeh jahan kar doon
Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon...
Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon....