Thursday, February 6, 2014

mere khuda maaf karna....

Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon
Bewafa jo apne mehboob ko bayan kar doon

Kya hua jo woh chor gaye rah main akela hamme
Kya sirf is binah pe main unhe na-khuda kar doon

Aur kya karenge bayan yeh nazare unko, unki zad ko unki kathnaiyon ko, Pata hai mujhe mera khuda hai woh
Aasman se aane walon ko kyun main ruswa kar doon

Lab jo khulte the ibadat main unke
Kabhi pyar main, kabhi ruswaiyon main
Janta hai khuda mera, niyat ko meri
Us pari ke kadamon main yeh jahan kar doon
Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon...
Mere khuda maaf karna jo main yeh khata kar doon....

No comments:

Post a Comment